mohabbat hai to phir andaza-e-shauq-e-wafa kyon ho
mohabbat hai to phir andāza-e-shauq-e-vafā kyoñ ho
shikāyat dard kī kyoñ ho jafāoñ kā gila kyoñ ho
kisī ke kaan tak pahuñche vo merī iltijā kyoñ ho
bar aanā jis kā mumkin ho vo merā mudda.ā kyoñ ho
ye rāh-e-ishq hai ai dil ma.āl-andeshiyāñ kaisī
junūñ hai dastgīr apnā koī zanjīr-e-pā kyoñ ho
hayāt-e-ārzū parvarda-e-āġhosh-e-tūfāñ hai
jise ho fikr sāhil kī vo merā nāḳhudā kyoñ ho
na ye fariyād hogī phir na ye aaheñ na ye naale
dil-e-nādāñ mohabbat meñ haqīqat-āshnā kyoñ ho
vo nazreñ ḳhaak meñ jin ko milānā bhī nahīñ aatā
unhīñ nazroñ se vābasta hamārā mudda.ā kyoñ ho
hudūd-e-shash-jihat se māvarā jab us ke jalve haiñ
to parvāz-e-mohabbat tā-ba-hadd-e-do-sarā kyoñ ho
ḳhudā ke yaad aane kā baḌā achchhā zarīya hai
shanāsā-e-karam vo bāni-e-jaur-o-jafā kyoñ ho
muhīt-e-arsh-o-kursī jab ḳhudā kā zill-e-rahmat hai
'munīr' apnī ḳhatā-koshī kī koī intihā kyoñ ho
mohabbat hai to phir andaza-e-shauq-e-wafa kyon ho
shikayat dard ki kyon ho jafaon ka gila kyon ho
kisi ke kan tak pahunche wo meri iltija kyon ho
bar aana jis ka mumkin ho wo mera muddaa kyon ho
ye rah-e-ishq hai ai dil maal-andeshiyan kaisi
junun hai dastgir apna koi zanjir-e-pa kyon ho
hayat-e-arzu parwarda-e-aghosh-e-tufan hai
jise ho fikr sahil ki wo mera naKHuda kyon ho
na ye fariyaad hogi phir na ye aahen na ye nale
dil-e-nadan mohabbat mein haqiqat-ashna kyon ho
wo nazren KHak mein jin ko milana bhi nahin aata
unhin nazron se wabasta hamara muddaa kyon ho
hudud-e-shash-jihat se mawara jab us ke jalwe hain
to parwaz-e-mohabbat ta-ba-hadd-e-do-sara kyon ho
KHuda ke yaad aane ka baDa achchha zariya hai
shanasa-e-karam wo bani-e-jaur-o-jafa kyon ho
muhit-e-arsh-o-kursi jab KHuda ka zill-e-rahmat hai
'munir' apni KHata-koshi ki koi intiha kyon ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.