mohabbat ho gai hai to kya meri KHata hai
mohabbat ho ga.ī hai to kyā merī ḳhatā hai
mujhe hī sochtī hai to kyā merī ḳhatā hai
mire bin kuchh bhī achchhā nahīñ lagtā tujhe ab
ye duniyā bojh sī hai to kyā merī ḳhatā hai
vo jis ko chhoḌ kar maiñ tire pahlū meñ aayā
vo mujh ko DhūñDhtī hai to kyā merī ḳhatā hai
mire hī dam se tere chaman meñ raunaqeñ haiñ
havā.eñ jhūmtī haiñ to kyā merī ḳhatā hai
mirī paḌ jaa.eñ nazreñ tire nikhre badan par
mujhe tū khojtī hai to kyā merī ḳhatā hai
mirī photo ko aksar lagā kar phone par tū
use phir chūmtī hai to kyā merī ḳhatā hai
bharī mahfil meñ terī nazar ‘aivān’ par hai
'zafar' ko dekhtī hai to kyā merī ḳhatā hai
mohabbat ho gai hai to kya meri KHata hai
mujhe hi sochti hai to kya meri KHata hai
mere bin kuchh bhi achchha nahin lagta tujhe ab
ye duniya bojh si hai to kya meri KHata hai
wo jis ko chhoD kar main tere pahlu mein aaya
wo mujh ko DhunDhti hai to kya meri KHata hai
mere hi dam se tere chaman mein raunaqen hain
hawaen jhumti hain to kya meri KHata hai
meri paD jaen nazren tere nikhre badan par
mujhe tu khojti hai to kya meri KHata hai
meri photo ko aksar laga kar phone par tu
use phir chumti hai to kya meri KHata hai
bhari mahfil mein teri nazar ‘aiwan’ par hai
'zafar' ko dekhti hai to kya meri KHata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.