mohabbat ho to sham-e-gham bhi pur-tanwir hoti hai
mohabbat ho to sham-e-gham bhi pur-tanwir hoti hai
Abdussamad Qaiser
MORE BYAbdussamad Qaiser
mohabbat ho to shām-e-ġham bhī pur-tanvīr hotī hai
chamak sī dil meñ āñkhoñ meñ koī tasvīr hotī hai
nazar aa.e bahut masrūr arbāb-e-chaman mujh ko
nahīñ ma.alūm kyā is ḳhvāb kī ta.abīr hotī hai
yahī tārīkiyāñ ġham kī payām-e-amn lā.eñgī
añdheroñ ke pas-e-parda sahar ta.amīr hotī hai
javānī kī ḳhatāoñ par sazā.eñ dāvar-e-mahshar
kahīñ dīvāngī bhī qābil-e-tāzīr hotī hai
nikal jaate kabhī ke nik.hat-e-gul kī tarah 'qaisar'
magar ḳhāk-e-vatan uTh uTh ke dāman-gīr hotī hai
mohabbat ho to sham-e-gham bhi pur-tanwir hoti hai
chamak si dil mein aankhon mein koi taswir hoti hai
nazar aae bahut masrur arbab-e-chaman mujh ko
nahin malum kya is KHwab ki tabir hoti hai
yahi tarikiyan gham ki payam-e-amn laengi
andheron ke pas-e-parda sahar tamir hoti hai
jawani ki KHataon par sazaen dawar-e-mahshar
kahin diwangi bhi qabil-e-tazir hoti hai
nikal jate kabhi ke nikhat-e-gul ki tarah 'qaisar'
magar KHak-e-watan uTh uTh ke daman-gir hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.