mohabbat husn ka ejaz bhi hai
mohabbat husn kā e'jāz bhī hai
mohabbat ruuh kī āvāz bhī hai
kiyā kartā huuñ sajde apne dil ko
ye terī bārgāh-e-nāz bhī hai
tabassum bhī hai ġhunchoñ kī chaTak meñ
aur andāz-e-shikast-e-sāz bhī hai
safīna bhī hai girdāb-e-balā meñ
mizāj-e-nāḳhudā nā-sāz bhī hai
sunā.eñ ham kise afsāna-e-ġham
yahāñ koī sharīk-e-rāz bhī hai
nazar un kī na kyoñ naġhme sunā.e
mirā dil gosh-bar-āvāz bhī hai
kabhī ye dil hai sahrā kā namūna
kabhī ye dil gulistāñ-sāz bhī hai
khanak is ko na shīshe kī samajhiye
shikast-e-dil kī ye āvāz bhī hai
mohabbat husn ka e'jaz bhi hai
mohabbat ruh ki aawaz bhi hai
kiya karta hun sajde apne dil ko
ye teri bargah-e-naz bhi hai
tabassum bhi hai ghunchon ki chaTak mein
aur andaz-e-shikast-e-saz bhi hai
safina bhi hai girdab-e-bala mein
mizaj-e-naKHuda na-saz bhi hai
sunaen hum kise afsana-e-gham
yahan koi sharik-e-raaz bhi hai
nazar un ki na kyon naghme sunae
mera dil gosh-bar-awaz bhi hai
kabhi ye dil hai sahra ka namuna
kabhi ye dil gulistan-saz bhi hai
khanak is ko na shishe ki samajhiye
shikast-e-dil ki ye aawaz bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.