mohabbat ibtida hai har KHabar ki
mohabbat ibtidā hai har ḳhabar kī
mohabbat intihā hai har nazar kī
mohabbat raushnī qalb-o-jigar kī
mohabbat aabrū hai chashm-e-tar kī
mohabbat ne farishtoñ ko jhukāyā
mohabbat se baḌhī vaq.at bashar kī
mohabbat zulmat-e-shab kī tamannā
mohabbat aarzū nūr-e-sahar kī
mohabbat partav-e-nūr-e-azal hai
mohabbat raushnī hai har nazar kī
mohabbat ik musalsal dard-e-sar hai
mohabbat hī davā hai dard-e-sar kī
mohabbat aa.ina hai lafz-e-kun kā
mohabbat hai nazar ā.īna-gar kī
'munīr' is dil ke parde meñ mohabbat
tajallī hai ḳhudā-e-bahr-o-bar kī
mohabbat ibtida hai har KHabar ki
mohabbat intiha hai har nazar ki
mohabbat raushni qalb-o-jigar ki
mohabbat aabru hai chashm-e-tar ki
mohabbat ne farishton ko jhukaya
mohabbat se baDhi waqat bashar ki
mohabbat zulmat-e-shab ki tamanna
mohabbat aarzu nur-e-sahar ki
mohabbat partaw-e-nur-e-azal hai
mohabbat raushni hai har nazar ki
mohabbat ek musalsal dard-e-sar hai
mohabbat hi dawa hai dard-e-sar ki
mohabbat aaina hai lafz-e-kun ka
mohabbat hai nazar aaina-gar ki
'munir' is dil ke parde mein mohabbat
tajalli hai KHuda-e-bahr-o-bar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.