mohabbat ibtida mein hai jafaen na-munasib hain
mohabbat ibtidā meñ hai jafā.eñ nā-munāsib haiñ
tumhāre rūThne kī ye adā.eñ nā-munāsib haiñ
ye shāyad umr aisī thī mohabbat ho ga.ī mujh ko
magar is umr meñ itnī sazā.eñ nā-munāsib haiñ
tumhāre shahr se jaanā muqaddar thā so jhelā hai
magar is meñ raqīboñ kī duā.eñ nā-munāsib haiñ
abhī se hijr kī talḳhī meñ mar jā.ūñgā jān-e-jāñ
abhī mausam vafā kā hai jafā.eñ nā-munāsib haiñ
inhī tārīkiyoñ meñ zinda rahne kā hunar sīkho
diye ko mat jalāo tum havā.eñ nā-munāsib haiñ
ye sher-o-shā.erī 'dā.em' ye ishq-o-āshiqī 'dā.em'
mirī maano tumhārī ye adā.eñ nā-munāsib haiñ
mohabbat ibtida mein hai jafaen na-munasib hain
tumhaare ruThne ki ye adaen na-munasib hain
ye shayad umr aisi thi mohabbat ho gai mujh ko
magar is umr mein itni sazaen na-munasib hain
tumhaare shahr se jaana muqaddar tha so jhela hai
magar is mein raqibon ki duaen na-munasib hain
abhi se hijr ki talKHi mein mar jaunga jaan-e-jaan
abhi mausam wafa ka hai jafaen na-munasib hain
inhi tarikiyon mein zinda rahne ka hunar sikho
diye ko mat jalao tum hawaen na-munasib hain
ye sher-o-shaeri 'daem' ye ishq-o-ashiqi 'daem'
meri mano tumhaari ye adaen na-munasib hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.