mohabbat jag uTThi rag rag mein armanon ko nind aai
mohabbat jaag uTThī rag rag meñ armānoñ ko niiñd aa.ī
haqīqat ne naqāb ulTī to afsānoñ ko niiñd aa.ī
chhalaktī hī rahī mai daur chaltā hī rahā lekin
rukī gardish un āñkhoñ kī to paimānoñ ko niiñd aa.ī
bichhe the phuul bhī har moḌ par fasl-e-bahārāñ meñ
magar i to kāñToñ par hī dīvānoñ ko niiñd aa.ī
sar-e-mahfil rahā ik ratjage kā sā samāñ shab bhar
palak jhapkī na sham.oñ kī na parvānoñ ko niiñd aa.ī
tajallī thī na tābānī tasavvur thā na partav thā
tire jaate hī saare ā.īna-ḳhānoñ ko niiñd aa.ī
mohabbat thī farozāñ dard kā ehsās thā jab tak
huī insāniyat ruḳhsat to insānoñ ko niiñd aa.ī
shab hijrāñ kā sannāTā hai taarī band haiñ āñkheñ
ye maut i ki tere soḳhta-jānoñ ko niiñd aa.ī
musalsal ishq meñ aalam rahā shab-zinda-dārī kā
sar-e-maqtal pahuñch kar tere dīvānoñ ko niiñd aa.ī
ghanī hai kis qadar chhāñv 'ziyā' kufr-e-mohabbat kī
magar is chhāñv meñ kitne hī īmānoñ ko niiñd aa.ī
mohabbat jag uTThi rag rag mein armanon ko nind aai
haqiqat ne naqab ulTi to afsanon ko nind aai
chhalakti hi rahi mai daur chalta hi raha lekin
ruki gardish un aankhon ki to paimanon ko nind aai
bichhe the phul bhi har moD par fasl-e-bahaaran mein
magar i to kanTon par hi diwanon ko nind aai
sar-e-mahfil raha ek ratjage ka sa saman shab bhar
palak jhapki na shamon ki na parwanon ko nind aai
tajalli thi na tabani tasawwur tha na partaw tha
tere jate hi sare aaina-KHanon ko nind aai
mohabbat thi farozan dard ka ehsas tha jab tak
hui insaniyat ruKHsat to insanon ko nind aai
shab hijran ka sannaTa hai tari band hain aankhen
ye maut i ki tere soKHta-jaanon ko nind aai
musalsal ishq mein aalam raha shab-zinda-dari ka
sar-e-maqtal pahunch kar tere diwanon ko nind aai
ghani hai kis qadar chhanw 'ziya' kufr-e-mohabbat ki
magar is chhanw mein kitne hi imanon ko nind aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.