mohabbat jalwa-e-ruKHsar bhi hai
Interesting Fact
(12th September, 1959) (Tamir-e-Urdu(
mohabbat jalva-e-ruḳhsār bhī hai
mohabbat kākul-e-ḳhamdār bhī hai
tajallī māne-e-dīdār bhī hai
nazar kī raah meñ dīvār bhī hai
vo saada hī nahīñ purkār bhī hai
ba-kār-e-ḳhvesh jo hushyār bhī hai
bashar daanā bhī hai hushyār bhī hai
magar mast-e-mai-e-pindār bhī hai
mohabbat māne-e-iz.hār bhī hai
mohabbat mā.il-e-guftār bhī hai
mirī tasḳhīr-e-dil meñ kār-farmā
tirī shīrīnī-e-guftār bhī hai
bashar par haiñ jahāñ pābandiyāñ aur
asīr-e-sub.ha-o-zunnār bhī hai
zamāna sulh-e-dushman hai azal se
zamāna barsar-e-paikār bhī hai
shafaq meñ gul meñ jām-e-arġhavāñ meñ
mirī rangīnī-e-ash.ār bhī hai
mohabbat kā maza kyā pūchhte ho
mohabbat pyaar bhī takrār bhī hai
fareb-e-ḳhāmushī bhī dil ne khāyā
halāk-e-shoḳhī-e-guftār bhī hai
jise kahte haiñ sab duniyā meñ jiinā
bahut āsāñ bahut dushvār bhī hai
jo nekī kar ke dariyā burd kar de
kahīñ vo sāhab-e-īsār bhī hai
tamannā sar-bulandī kī to bar-haq
magar kuchh jauhar-e-kirdār bhī hai
jahāñ haiñ aur asbāb-e-tanazzul
hamārī pastī-e-me.ār bhī hai
use majmua-e-azdād kahiye
bashar majbūr bhī muḳhtār bhī hai
vahī insāñ jo hai ġhaflat pe maa.il
rahīn-e-jazba-e-bedār bhī hai
adab ko istaqāmat baḳhshne meñ
mirī barnā.ī-e-afkār bhī hai
ise sho.ala bhī kahiye ye hai shabnam
mohabbat nuur bhī hai naar bhī hai
tumhārī muntazir muddat se 'tālib'
chaman meñ nargis-e-bīmār bhī hai
mohabbat jalwa-e-ruKHsar bhi hai
mohabbat kakul-e-KHamdar bhi hai
tajalli mane-e-didar bhi hai
nazar ki rah mein diwar bhi hai
wo sada hi nahin purkar bhi hai
ba-kar-e-KHwesh jo hushyar bhi hai
bashar dana bhi hai hushyar bhi hai
magar mast-e-mai-e-pindar bhi hai
mohabbat mane-e-izhaar bhi hai
mohabbat mail-e-guftar bhi hai
meri tasKHir-e-dil mein kar-farma
teri shirini-e-guftar bhi hai
bashar par hain jahan pabandiyan aur
asir-e-subha-o-zunnar bhi hai
zamana sulh-e-dushman hai azal se
zamana barsar-e-paikar bhi hai
shafaq mein gul mein jam-e-arghawan mein
meri rangini-e-ashaar bhi hai
mohabbat ka maza kya puchhte ho
mohabbat pyar bhi takrar bhi hai
fareb-e-KHamushi bhi dil ne khaya
halak-e-shoKHi-e-guftar bhi hai
jise kahte hain sab duniya mein jina
bahut aasan bahut dushwar bhi hai
jo neki kar ke dariya burd kar de
kahin wo sahab-e-isar bhi hai
tamanna sar-bulandi ki to bar-haq
magar kuchh jauhar-e-kirdar bhi hai
jahan hain aur asbab-e-tanazzul
hamari pasti-e-mear bhi hai
use majmua-e-azdad kahiye
bashar majbur bhi muKHtar bhi hai
wahi insan jo hai ghaflat pe mail
rahin-e-jazba-e-bedar bhi hai
adab ko istaqamat baKHshne mein
meri barnai-e-afkar bhi hai
ise shoala bhi kahiye ye hai shabnam
mohabbat nur bhi hai nar bhi hai
tumhaari muntazir muddat se 'talib'
chaman mein nargis-e-bimar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.