mohabbat jo rakhti asar zindagi bhar
mohabbat jo rakhtī asar zindagī bhar
nahīñ rūThtā ham-safar zindagī bhar
hai kaisī ye ulfat ke tū ne kabhī bhī
na rakkhī mirī kuchh ḳhabar zindagī bhar
luTāte rahe vo jahāñ meñ mohabbat
hameñ hī kiyā dar-ba-dar zindagī bhar
ḳhulāsa bayāñ merī āñkheñ kareñgī
uThāyā nahīñ maiñ ne sar zindagī bhar
kiyā qatl hāthoñ se jazboñ kā maiñ ne
jalā kar ye ḳhūn-e-jigar zindagī bhar
banānā jo chāhā thā hāthoñ se maiñ ne
banā hī na paa.ī vo ghar zindagī bhar
hai jo kuchh bhī paayā use kho na deñ ham
hamesha rahā dil meñ Dar zindagī bhar
'adāvat mohabbat se behtar hī hogī
rakhī tum ne qaa.em agar zindagī bhar
sitam Dhā rahe haiñ mohabbat jatā kar
hai un kā ye husn-e-nazar zindagī bhar
mohabbat jo rakhti asar zindagi bhar
nahin ruThta ham-safar zindagi bhar
hai kaisi ye ulfat ke tu ne kabhi bhi
na rakkhi meri kuchh KHabar zindagi bhar
luTate rahe wo jahan mein mohabbat
hamein hi kiya dar-ba-dar zindagi bhar
KHulasa bayan meri aankhen karengi
uThaya nahin main ne sar zindagi bhar
kiya qatl hathon se jazbon ka main ne
jala kar ye KHun-e-jigar zindagi bhar
banana jo chaha tha hathon se main ne
bana hi na pai wo ghar zindagi bhar
hai jo kuchh bhi paya use kho na den hum
hamesha raha dil mein Dar zindagi bhar
'adawat mohabbat se behtar hi hogi
rakhi tum ne qaem agar zindagi bhar
sitam Dha rahe hain mohabbat jata kar
hai un ka ye husn-e-nazar zindagi bhar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.