mohabbat ka bana hai silsila aahista aahista
mohabbat kā banā hai silsila āhista āhista
nikaltā jā rahā hai rāsta āhista āhista
jamāl-e-dast kī kāvish se badlā aadmī kā Dhañg
chalā sūraj kī jānib qāfila āhista āhista
vahī kāñTā na.ī duniyā kā bhī unvān hai shāyad
dil-e-mantiq meñ jo chubhtā rahā āhista āhista
sunā hai har kas-o-nā-kas ko terā ġham nahīñ phir bhī
kiye jaate haiñ ham bhī hausla āhista āhista
abhī aalam ke baazū par javāñ karvaT hai shabnam kī
mizāj-e-subh pe chaḌhtā nasha āhista āhista
mohabbat ka bana hai silsila aahista aahista
nikalta ja raha hai rasta aahista aahista
jamal-e-dast ki kawish se badla aadmi ka Dhang
chala suraj ki jaanib qafila aahista aahista
wahi kanTa nai duniya ka bhi unwan hai shayad
dil-e-mantiq mein jo chubhta raha aahista aahista
suna hai har kas-o-na-kas ko tera gham nahin phir bhi
kiye jate hain hum bhi hausla aahista aahista
abhi aalam ke bazu par jawan karwaT hai shabnam ki
mizaj-e-subh pe chaDhta nasha aahista aahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.