mohabbat ka diya aise bujha tha
mohabbat kā diyā aise bujhā thā
havā ke dosh par rakkhā huā thā
sitāra TuuT kar jab bhī girā thā
ajab dhaḌkā sā dil ko lag gayā thā
ajab vahshat thī tere aa.ine meñ
jahāñ har aks hī TuuTā huā thā
lipaT kar chāñd se rone lagā thā
sitāra TuuT kar Dar sā gayā thā
use thī chāñd tāroñ kī talab aur
hamāre paas to bas ik diyā thā
hazāroñ rañg the ik aarzū ke
magar mujh ko to us ne ḳhud chunā thā
kisī ahd-e-vafā kā haath thāme
koī ik moḌ par rotā rahā thā
kisī ko dosh kyā deñ Dūbne kā
bhañvar jo paañv se lipTā huā thā
ajab be-faiz thī ye bhī mohabbat
bahāroñ meñ ḳhizāñ kā ruup sā thā
udhar se dhuup ko aane nā dūñgā
tujhe kuchh yaad hai tū ne kahā thā
vahī tishna-labī āñkhoñ meñ sahrā
vahī mizhgāñ pe ik aañsū dharā thā
mohabbat ka diya aise bujha tha
hawa ke dosh par rakkha hua tha
sitara TuT kar jab bhi gira tha
ajab dhaDka sa dil ko lag gaya tha
ajab wahshat thi tere aaine mein
jahan har aks hi TuTa hua tha
lipaT kar chand se rone laga tha
sitara TuT kar Dar sa gaya tha
use thi chand taron ki talab aur
hamare pas to bas ek diya tha
hazaron rang the ek aarzu ke
magar mujh ko to us ne KHud chuna tha
kisi ahd-e-wafa ka hath thame
koi ek moD par rota raha tha
kisi ko dosh kya den Dubne ka
bhanwar jo panw se lipTa hua tha
ajab be-faiz thi ye bhi mohabbat
bahaaron mein KHizan ka rup sa tha
udhar se dhup ko aane na dunga
tujhe kuchh yaad hai tu ne kaha tha
wahi tishna-labi aankhon mein sahra
wahi mizhgan pe ek aansu dhara tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.