mohabbat ka diya jal kar bujha aise nahin hota
mohabbat kā diyā jal kar bujhā aise nahīñ hotā
to jaarī zulmatoñ kā silsila aise nahīñ hotā
hue ho jaise tum koī ḳhafā aise nahīñ hotā
koī bhī zindagī bhar ko judā aise nahīñ hotā
lahū kā rang bharnā paḌtā hai lafzoñ ke ḳhākoñ meñ
mukammal qissa-e-ahd-e-vafā aise nahīñ hotā
baġhair iḳhlās ke kyoñ bahr-e-sajda sar jhukātā hai
ai zāhid bandagī kā haq adā aise nahīñ hotā
mizājoñ meñ na jab tak narm goshe kār-farmā hoñ
diloñ kā fāsla dekho fanā aise nahīñ hotā
na jab tak ḳhuun ke chhīñTe lagā.e jaa.eñ gulshan meñ
kisī bhī shāḳh par pattā harā aise nahīñ hotā
mire siine meñ tere lams kī ThanDak na aa jaatī
maiñ tanhā.ī kī ātish meñ jalā aise nahīñ hotā
bahut dāman bachā kar jhāḌiyoñ meñ chalnā paḌtā hai
guloñ tak jaane kā tai rāsta aise nahīñ hotā
mirī mayyat pe aa kar muskurānā bhī zarūrī hai
mire qātil hisāb-e-ḳhūñ-bahā aise nahīñ hotā
sar-e-mahfil nazar un kī na ai 'muḳhtār' paḌ jaatī
to merī samt koī dekhtā aise nahīñ hotā
mohabbat ka diya jal kar bujha aise nahin hota
to jari zulmaton ka silsila aise nahin hota
hue ho jaise tum koi KHafa aise nahin hota
koi bhi zindagi bhar ko juda aise nahin hota
lahu ka rang bharna paDta hai lafzon ke KHakon mein
mukammal qissa-e-ahd-e-wafa aise nahin hota
baghair iKHlas ke kyon bahr-e-sajda sar jhukata hai
ai zahid bandagi ka haq ada aise nahin hota
mizajon mein na jab tak narm goshe kar-farma hon
dilon ka fasla dekho fana aise nahin hota
na jab tak KHun ke chhinTe lagae jaen gulshan mein
kisi bhi shaKH par patta hara aise nahin hota
mere sine mein tere lams ki ThanDak na aa jati
main tanhai ki aatish mein jala aise nahin hota
bahut daman bacha kar jhaDiyon mein chalna paDta hai
gulon tak jaane ka tai rasta aise nahin hota
meri mayyat pe aa kar muskurana bhi zaruri hai
mere qatil hisab-e-KHun-baha aise nahin hota
sar-e-mahfil nazar un ki na ai 'muKHtar' paD jati
to meri samt koi dekhta aise nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.