mohabbat ka gulshan sajaane lage hain
mohabbat kā gulshan sajāne lage haiñ
ham apnī vafā ko nibhāne lage haiñ
uThī thī jo dīvār nafrat kī dil meñ
use rafta rafta girāne lage haiñ
jhukā kar jo nazreñ the ḳhamosh baiThe
vahī dard apnā batāne lage haiñ
jinheñ pyaar ke phuul ham ne the bheje
vahī dil pe ḳhanjar chalāne lage haiñ
ḳhabar jin ko aiboñ kī apne nahīñ hai
vahī mujh pe tohmat lagāne lage haiñ
unheñ kah rahā hai zamānā ye joker
jo ro kar ke sab ko hañsāne lage haiñ
mile haiñ vo jab se 'musāfir' na jaane
mujhe dekh kar muskurāne lage haiñ
mohabbat ka gulshan sajaane lage hain
hum apni wafa ko nibhane lage hain
uThi thi jo diwar nafrat ki dil mein
use rafta rafta girane lage hain
jhuka kar jo nazren the KHamosh baiThe
wahi dard apna batane lage hain
jinhen pyar ke phul hum ne the bheje
wahi dil pe KHanjar chalane lage hain
KHabar jin ko aibon ki apne nahin hai
wahi mujh pe tohmat lagane lage hain
unhen kah raha hai zamana ye joker
jo ro kar ke sab ko hansane lage hain
mile hain wo jab se 'musafir' na jaane
mujhe dekh kar muskurane lage hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.