mohabbat ka hai sarmaya tasawwur aap ka
mohabbat kā hai sarmāya tasavvur aap kā
kabhī fursat na de paayā tasavvur aap kā
tabassum kī vaj.h mahfil meñ sab pūchhā kiye
baḌī mushkil se jhuThlāyā tasavvur aap kā
sulagtī ārzūoñ kā dhuāñ thā ashk the
kisī sūrat na dhuñdhlāyā tasavvur aap kā
yahāñ se dekhiye duniyā hai kitnī muḳhtasar
sitāroñ par hai le aayā tasavvur aap kā
bahāne to bahut the yaad karne ke magar
ġhazal kah kah ke dohrāyā tasavvur aap kā
mohabbat ka hai sarmaya tasawwur aap ka
kabhi fursat na de paya tasawwur aap ka
tabassum ki wajh mahfil mein sab puchha kiye
baDi mushkil se jhuThlaya tasawwur aap ka
sulagti aarzuon ka dhuan tha ashk the
kisi surat na dhundhlaya tasawwur aap ka
yahan se dekhiye duniya hai kitni muKHtasar
sitaron par hai le aaya tasawwur aap ka
bahane to bahut the yaad karne ke magar
ghazal kah kah ke dohraya tasawwur aap ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.