mohabbat ka hasin ehsas ho tum
mohabbat kā hasīñ ehsās ho tum
ġhanīmat hai ki mere paas ho tum
ye kis kī yaad ne dil ko dukhāyā
bharī mahfil meñ mahv-e-yās ho tum
na jaane kis kī qismat meñ likhe ho
na jaane kis ke dil kī aas ho tum
mire dil ke nihāñ-ḳhāne meñ dekho
mire ma.asūm dil kī pyaas ho tum
tasavvur ko ḳhudā ābād rakhe
ye lagtā hai ki mere paas ho tum
maiñ ḳhushbu-e-badan se 'āshnā' huuñ
mire sūkhe laboñ kī pyaas ho tum
mohabbat ka hasin ehsas ho tum
ghanimat hai ki mere pas ho tum
ye kis ki yaad ne dil ko dukhaya
bhari mahfil mein mahw-e-yas ho tum
na jaane kis ki qismat mein likhe ho
na jaane kis ke dil ki aas ho tum
mere dil ke nihan-KHane mein dekho
mere masum dil ki pyas ho tum
tasawwur ko KHuda aabaad rakhe
ye lagta hai ki mere pas ho tum
main KHushbu-e-badan se 'ashna' hun
mere sukhe labon ki pyas ho tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.