mohabbat ka hoga asar rafta rafta
mohabbat ka hoga asar rafta rafta
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
mohabbat kā hogā asar rafta rafta
nazar se milegī nazar rafta rafta
shab-e-ġham kī tūlāniyoñ se na ghabrā
ki is kī bhī hogī sahar rafta rafta
nazar un kī aise milī hai ki jaise
milā.eñge dil bhī magar rafta rafta
qafas se rihā.ī to mil jaa.e pahle
nikal ā.eñge bāl-o-par rafta rafta
mirī bandagī kā karishma to dekho
jabīñ ban ga.ī sañg-e-dar rafta rafta
jahāñ ham kahīñ naqsh-e-pā chhoḌ aa.e
vahīñ ban ga.ī rahguzar rafta rafta
mire saath jo do qadam bhī chalā hai
vahī ban gayā ham-safar rafta rafta
ḳhudā jaane kyuuñ sar jhukāne lage haiñ
mujhe dekh kar chāragar rafta rafta
abhī us ne aane kā va.ada kiyā hai
chamakne lage bām-o-dar rafta rafta
shab-e-ġham kī rūdād kyā pūchhte ho
'sahar' ko milī hai sahar rafta rafta
mohabbat ka hoga asar rafta rafta
nazar se milegi nazar rafta rafta
shab-e-gham ki tulaniyon se na ghabra
ki is ki bhi hogi sahar rafta rafta
nazar un ki aise mili hai ki jaise
milaenge dil bhi magar rafta rafta
qafas se rihai to mil jae pahle
nikal aaenge baal-o-par rafta rafta
meri bandagi ka karishma to dekho
jabin ban gai sang-e-dar rafta rafta
jahan hum kahin naqsh-e-pa chhoD aae
wahin ban gai rahguzar rafta rafta
mere sath jo do qadam bhi chala hai
wahi ban gaya ham-safar rafta rafta
KHuda jaane kyun sar jhukane lage hain
mujhe dekh kar chaaragar rafta rafta
abhi us ne aane ka wada kiya hai
chamakne lage baam-o-dar rafta rafta
shab-e-gham ki rudad kya puchhte ho
'sahar' ko mili hai sahar rafta rafta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.