mohabbat ka jab roz-bazar hoga
mohabbat kā jab roz-bāzār hogā
bikeñge sar aur kam ḳharīdār hogā
tasallī huā sabr se kuchh maiñ tujh bin
kabhī ye qayāmat tarahdār hogā
sabā mū-e-zulf us kā TuuTe to Dar hai
ki ik vaqt meñ ye siyah-mār hogā
mirā daañt hai tere hoñToñ pe mat pūchh
kahūñgā to laḌne ko tayyār hogā
na ḳhālī rahegī mirī jāgah gar maiñ
na hūñgā to andoh bisyār hogā
ye mansūr kā ḳhūn-e-nāhaq ki haq thā
qayāmat ko kis kis se ḳhūñ-dār hogā
ajab shaiḳh-jī kī hai shakl-o-shamā.il
milegā to sūrat se bezār hogā
na ro ishq meñ dasht-gardī ko majnūñ
abhī kyā huā hai bahut ḳhvār hogā
khiñche ahd-e-ḳhat meñ bhī dil terī jānib
kabhū to qayāmat tarahdār hogā
zamīñ-gīr ho ijz se tū ki ik din
ye dīvār kā saaya dīvār hogā
na mar kar bhī chhūTegā itnā rukegā
tire daam meñ jo giraftār hogā
na pūchh apnī majlis meñ hai 'mīr' bhī yaañ
jo hogā to jaise gunahgār hogā
mohabbat ka jab roz-bazar hoga
bikenge sar aur kam KHaridar hoga
tasalli hua sabr se kuchh main tujh bin
kabhi ye qayamat tarahdar hoga
saba mu-e-zulf us ka TuTe to Dar hai
ki ek waqt mein ye siyah-mar hoga
mera dant hai tere honTon pe mat puchh
kahunga to laDne ko tayyar hoga
na KHali rahegi meri jagah gar main
na hunga to andoh bisyar hoga
ye mansur ka KHun-e-nahaq ki haq tha
qayamat ko kis kis se KHun-dar hoga
ajab shaiKH-ji ki hai shakl-o-shamail
milega to surat se bezar hoga
na ro ishq mein dasht-gardi ko majnun
abhi kya hua hai bahut KHwar hoga
khinche ahd-e-KHat mein bhi dil teri jaanib
kabhu to qayamat tarahdar hoga
zamin-gir ho ijz se tu ki ek din
ye diwar ka saya diwar hoga
na mar kar bhi chhuTega itna rukega
tere dam mein jo giraftar hoga
na puchh apni majlis mein hai 'mir' bhi yan
jo hoga to jaise gunahgar hoga
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0077
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.