mohabbat ka jahan hai aur main hun
mohabbat kā jahāñ hai aur maiñ huuñ
mirā dārul-amāñ hai aur maiñ huuñ
hayāt-e-ġham nishāñ hai aur maiñ huuñ
musalsal imtihāñ hai aur maiñ huuñ
nigāh-e-shauq hai aur un ke jalve
shikast-e-nāgaghāñ hai aur maiñ huuñ
usī kā naam ho shāyad mohabbat
koī bār-e-girāñ hai aur maiñ huuñ
mohabbat be-sahārā to nahīñ hai
mirā dard-e-nihāñ hai aur maiñ huuñ
mohabbat ke fasāne allāh allāh
zamāne kī zabāñ hai aur maiñ huuñ
'qamar' taqlīd kā qaa.il nahīñ maiñ
mirā tarz-e-bayāñ hai aur maiñ huuñ
mohabbat ka jahan hai aur main hun
mera darul-aman hai aur main hun
hayat-e-gham nishan hai aur main hun
musalsal imtihan hai aur main hun
nigah-e-shauq hai aur un ke jalwe
shikast-e-nagaghan hai aur main hun
usi ka nam ho shayad mohabbat
koi bar-e-giran hai aur main hun
mohabbat be-sahaara to nahin hai
mera dard-e-nihan hai aur main hun
mohabbat ke fasane allah allah
zamane ki zaban hai aur main hun
'qamar' taqlid ka qail nahin main
mera tarz-e-bayan hai aur main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.