mohabbat ka jise irfan nahin hai
mohabbat ka jise irfan nahin hai
Abdul Rahman Khan Wasfi Bahraichi
MORE BYAbdul Rahman Khan Wasfi Bahraichi
mohabbat kā jise irfāñ nahīñ hai
vo sab kuchh hai magar insāñ nahīñ hai
shu.ūr-e-zindagī par miTne vaalo
shu.ūr-e-zindagī āsāñ nahīñ hai
talab kā haath baḌhtā jā rahā hai
ḳhayāl-e-vus.at-e-dāmāñ nahīñ hai
ḳhafā be-vaj.h nāseh ho rahe ho
tumhārī baat kuchh qur.āñ nahīñ hai
vo mast-e-hāl hai 'vasfī' ki us ko
ġham-e-dil hai ġham-e-daurāñ nahīñ hai
mohabbat ka jise irfan nahin hai
wo sab kuchh hai magar insan nahin hai
shuur-e-zindagi par miTne walo
shuur-e-zindagi aasan nahin hai
talab ka hath baDhta ja raha hai
KHayal-e-wusat-e-daman nahin hai
KHafa be-wajh naseh ho rahe ho
tumhaari baat kuchh quran nahin hai
wo mast-e-haal hai 'wasfi' ki us ko
gham-e-dil hai gham-e-dauran nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.