mohabbat ka jo ye anjam ho jae to hum jaanen
mohabbat kā jo ye anjām ho jaa.e to ham jāneñ
tirā jalva vafā paiġhām ho jaa.e to ham jāneñ
ḳhirad kā silsila āḳhir junūñ se mil ke rahtā hai
junūñ baḌh kar ḳhirad-anjām ho jaa.e to ham jāneñ
ye duniyā hai yahāñ par aadmī to laakh milte haiñ
jahāñ meñ ādamiyyat aam ho jaa.e to ham jāneñ
tirī dargāh meñ maqbūl haiñ jāh-o-hasham vaale
ġharīboñ kā bhī koī kaam ho jaa.e to ham jāneñ
ye ham bhī dekh leñ patthar meñ kaise joñk lagtī hai
kisī sūrat se vo but raam ho jaa.e to ham jāneñ
naqāb-e-ruḳh ulaT hī dī mirī gustāḳh nazroñ ne
mohabbat kī sahar ab shaam ho jaa.e to ham jāneñ
qadam kuchh zabt o jur.at se uThānā shart hai 'ālim'
mohabbat phir agar nākām ho jaa.e to ham jāneñ
mohabbat ka jo ye anjam ho jae to hum jaanen
tera jalwa wafa paigham ho jae to hum jaanen
KHirad ka silsila aaKHir junun se mil ke rahta hai
junun baDh kar KHirad-anjam ho jae to hum jaanen
ye duniya hai yahan par aadmi to lakh milte hain
jahan mein aadamiyyat aam ho jae to hum jaanen
teri dargah mein maqbul hain jah-o-hasham wale
gharibon ka bhi koi kaam ho jae to hum jaanen
ye hum bhi dekh len patthar mein kaise jonk lagti hai
kisi surat se wo but ram ho jae to hum jaanen
naqab-e-ruKH ulaT hi di meri gustaKH nazron ne
mohabbat ki sahar ab sham ho jae to hum jaanen
qadam kuchh zabt o jurat se uThana shart hai 'alim'
mohabbat phir agar nakaam ho jae to hum jaanen
- Book : دامن تار تار (Pg. 103)
- Author : سید عالم واسطی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.