mohabbat ka junun tari idhar bhi hai udhar bhi hai
mohabbat kā junūñ taarī idhar bhī hai udhar bhī hai
ḳhudā rakkhe ye hushyārī idhar bhī hai udhar bhī hai
mohabbat kī fusūñ-kārī idhar bhī hai udhar bhī hai
ye kāfir aql se aarī idhar bhī hai udhar bhī hai
mohabbat meñ haiñ garche yaas ke din hijr kī rāteñ
magar ye zindagī pyārī idhar bhī udhar bhī hai
do-ālam kyoñ na phir ik dūsre par naaz farmā.eñ
ki zauq-e-nāz-bardārī idhar bhī hai udhar bhī hai
raheñge ban ke zīnat imtihāñ-gāh-e-mohabbat kī
ye paimān-e-vafādārī idhar bhī hai udhar bhī hai
zabān-e-dil yahāñ aañsū vahāñ bikhre hue gesū
ḳhamoshī meñ sadā-kārī idhar bhī hai udhar bhī hai
barābar āj-kal rangīñ hai husn-o-ishq kā dāman
sarishk-e-ḳhūñ se gul-kārī idhar bhī hai udhar bhī hai
chhuTā jaatā hai dāman zabt kā donoñ ke hāthoñ se
kisī mahshar kī tayyārī idhar bhī hai udhar bhī hai
mohabbat ka junun tari idhar bhi hai udhar bhi hai
KHuda rakkhe ye hushyari idhar bhi hai udhar bhi hai
mohabbat ki fusun-kari idhar bhi hai udhar bhi hai
ye kafir aql se aari idhar bhi hai udhar bhi hai
mohabbat mein hain garche yas ke din hijr ki raaten
magar ye zindagi pyari idhar bhi udhar bhi hai
do-alam kyon na phir ek dusre par naz farmaen
ki zauq-e-naz-bardari idhar bhi hai udhar bhi hai
rahenge ban ke zinat imtihan-gah-e-mohabbat ki
ye paiman-e-wafadari idhar bhi hai udhar bhi hai
zaban-e-dil yahan aansu wahan bikhre hue gesu
KHamoshi mein sada-kari idhar bhi hai udhar bhi hai
barabar aaj-kal rangin hai husn-o-ishq ka daman
sarishk-e-KHun se gul-kari idhar bhi hai udhar bhi hai
chhuTa jata hai daman zabt ka donon ke hathon se
kisi mahshar ki tayyari idhar bhi hai udhar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.