mohabbat ka kisi ke dil mein ek arman paida kar
mohabbat ka kisi ke dil mein ek arman paida kar
Abdul Majeed Khwaja Shaida
MORE BYAbdul Majeed Khwaja Shaida
mohabbat kā kisī ke dil meñ ik armān paidā kar
ḳhudāyā us se milne kā koī sāmān paidā kar
jo inglistān kī sī bartarī ai hind chāhe tū
milā kar apne firqoñ ko ye izz-o-shān paidā kar
tire nāloñ se Dar kar chhoḌ de sayyād nā-mumkin
magar haañ dīda-e-tar se koī tūfān paidā kar
masā.ib se qafas ke tāqat-e-parvāz kab tujh ko
tū pahle apne uḌne kā koī sāmān paidā kar
butoñ kī yaad meñ saudā-e-sar se paak ho jā.ūñ
nasha aisā mire sar meñ mai-e-irfān paidā kar
vo bhole-pan se de de bosa-e-la.al-e-lab-e-shīrīñ
koī tarkīb aisī ai dil-e-nādān paidā kar
rumūz-e-āshiqī to sātvīñ manzil hai darmāñ kī
abhī to abjad-e-ma.anī se tū pahchān paidā kar
bulandī aur pastī kī hameñ kyā tū sunātā hai
kisī se tū bhī ai nāseh zarā īmān paidā kar
sune naala agar merā na hargiz jaur phir Dhaa.e
ilāhī ab to pīr-e-āsmāñ ke kaan paidā kar
abhī to pahlī manzil hai rah-e-maqsūd kī 'shaidā'
sañbhal kar chal zarā hushyār ho ausān paidā kar
mohabbat ka kisi ke dil mein ek arman paida kar
KHudaya us se milne ka koi saman paida kar
jo inglistan ki si bartari ai hind chahe tu
mila kar apne firqon ko ye izz-o-shan paida kar
tere nalon se Dar kar chhoD de sayyaad na-mumkin
magar han dida-e-tar se koi tufan paida kar
masaib se qafas ke taqat-e-parwaz kab tujh ko
tu pahle apne uDne ka koi saman paida kar
buton ki yaad mein sauda-e-sar se pak ho jaun
nasha aisa mere sar mein mai-e-irfan paida kar
wo bhole-pan se de de bosa-e-lal-e-lab-e-shirin
koi tarkib aisi ai dil-e-nadan paida kar
rumuz-e-ashiqi to satwin manzil hai darman ki
abhi to abjad-e-mani se tu pahchan paida kar
bulandi aur pasti ki hamein kya tu sunata hai
kisi se tu bhi ai naseh zara iman paida kar
sune nala agar mera na hargiz jaur phir Dhae
ilahi ab to pir-e-asman ke kan paida kar
abhi to pahli manzil hai rah-e-maqsud ki 'shaida'
sanbhal kar chal zara hushyar ho ausan paida kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.