mohabbat ka nanha sa ghar tauba tauba
mohabbat kā nanhā sā ghar tauba tauba
sitam-hā-e-barq-e-nazar tauba tauba
ye dil jaal meñ zulf-e-pechāñ ke phañs kar
bhaTaktā rahā umr bhar tauba tauba
laTeñ kaalī kaalī jabīñ ujlī ujlī
ba-yak-vaqt shām-o-sahar tauba tauba
agar dekh leñ Tuk vo tirchhī nazar se
do-ālam hoñ zer-o-zabar tauba tauba
koī dekhe in musht bhar haDDiyoñ ko
koī dekhe qahr-e-nazar tauba tauba
ye duniyā hai aur hai yahī āqibat bhī
shab-e-'soz' rangīñ sahar tauba tauba
mohabbat ka nanha sa ghar tauba tauba
sitam-ha-e-barq-e-nazar tauba tauba
ye dil jal mein zulf-e-pechan ke phans kar
bhaTakta raha umr bhar tauba tauba
laTen kali kali jabin ujli ujli
ba-yak-waqt sham-o-sahar tauba tauba
agar dekh len Tuk wo tirchhi nazar se
do-alam hon zer-o-zabar tauba tauba
koi dekhe in musht bhar haDDiyon ko
koi dekhe qahr-e-nazar tauba tauba
ye duniya hai aur hai yahi aaqibat bhi
shab-e-'soz' rangin sahar tauba tauba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.