mohabbat ka qarina aa gaya hai
mohabbat kā qarīna aa gayā hai
tirī furqat meñ jiinā aa gayā hai
guzar kar hādsoñ se rafta rafta
sar-e-sāhil safīna aa gayā hai
ghaTā.eñ dekhte haiñ āsmāñ par
ḳhayāl-e-jām-o-mīnā aa gayā hai
nigāheñ muntazir haiñ aa bhī jaao
ki sāvan kā mahīna aa gayā hai
mudāvā-e-ġham-e-hastī yahī hai
mujhe ashkoñ ko piinā aa gayā hai
mohabbat ka qarina aa gaya hai
teri furqat mein jina aa gaya hai
guzar kar hadson se rafta rafta
sar-e-sahil safina aa gaya hai
ghaTaen dekhte hain aasman par
KHayal-e-jam-o-mina aa gaya hai
nigahen muntazir hain aa bhi jao
ki sawan ka mahina aa gaya hai
mudawa-e-gham-e-hasti yahi hai
mujhe ashkon ko pina aa gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.