mohabbat ka shajar gar hum lagate
mohabbat kā shajar gar ham lagāte
kaTīle phuul hargiz ham na paate
tamaddun kī girāvaT tum na pūchho
kisī se bhī koī rishte banāte
na gar ham chhoḌte apnī virāsat
zavāl-e-ādam-e-ḳhākī na laate
agar hotā zarā bhī pās-e-hurmat
zamāne ko sahī rasta dikhāte
bashar ko rab ne ashraf hai banāyā
magar ab jānvar kī saf meñ aate
discipline un ke haañ bhī kuchh na kuchh hai
jinheñ ham jānvar kah kar bulāte
mohabbat ka shajar gar hum lagate
kaTile phul hargiz hum na pate
tamaddun ki girawaT tum na puchho
kisi se bhi koi rishte banate
na gar hum chhoDte apni wirasat
zawal-e-adam-e-KHaki na late
agar hota zara bhi pas-e-hurmat
zamane ko sahi rasta dikhate
bashar ko rab ne ashraf hai banaya
magar ab jaanwar ki saf mein aate
discipline un ke han bhi kuchh na kuchh hai
jinhen hum jaanwar kah kar bulate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.