mohabbat ka sila-kar-e-mohabbat se nahin milta
mohabbat kā sila-kār-e-mohabbat se nahīñ miltā
jo afsāne se miltā hai haqīqat se nahīñ miltā
maiñ us ko us ke bāhar dekhtā huuñ saḳht mushkil meñ
koī bhī aks us kā asl sūrat se nahīñ miltā
mulāqāt us se ab to baalā baalā bhī nahīñ mumkin
chhatoñ kā silsila ek us kī hī chhat se nahīñ miltā
kahāñ se laa.eñ ishq itnā ki us tak baar paa.eñ ham
vo ḳhud bairūn-e-sahrā ahl-e-vahshat se nahīñ miltā
ki ab dar-pesh rahte haiñ ka.ī apne bhī kaam us ko
vo pahle kī tarah ab apne 'farhat' se nahīñ miltā
mohabbat ka sila-kar-e-mohabbat se nahin milta
jo afsane se milta hai haqiqat se nahin milta
main us ko us ke bahar dekhta hun saKHt mushkil mein
koi bhi aks us ka asl surat se nahin milta
mulaqat us se ab to baala baala bhi nahin mumkin
chhaton ka silsila ek us ki hi chhat se nahin milta
kahan se laen ishq itna ki us tak bar paen hum
wo KHud bairun-e-sahra ahl-e-wahshat se nahin milta
ki ab dar-pesh rahte hain kai apne bhi kaam us ko
wo pahle ki tarah ab apne 'farhat' se nahin milta
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 32)
- Author :Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.