Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat ka ye jazba marne ka na hai

Faraz Hasanpuri

mohabbat ka ye jazba marne ka na hai

Faraz Hasanpuri

MORE BYFaraz Hasanpuri

    mohabbat ye jazba marne hai

    vo ab mere dil se utarne hai

    kahāñ us farebī bātoñ meñ aa.e

    vo jo kah rahā hai vo karne hai

    tihattar girohoñ meñ jab bañT ga.e ham

    to shīrāza apnā bikharne hai

    abhī to shurūāt hai āshiqī

    abhī bhuut sar se utarne hai

    tirī mīThī bātoñ meñ chipke to hai dil

    ye kyā shart hai mukarne hai

    judā.ī ke sadme haiñ bas chaar din ke

    kisī ke liye koī marne hai

    agar bhuul saktā bhulā detā ab tak

    tirī yaad zaḳhm bharne hai

    jab itnī ūñchī uḌāneñ bharegā

    to hāsid tire par katarne hai

    balā vo hushiyār samjhe hai ḳhud ko

    magar mere aage Thaharne hai

    vo hai bevafā to koī us se kah de

    'farāz' us ke sadme meñ marne hai

    mohabbat ka ye jazba marne ka na hai

    wo ab mere dil se utarne ka na hai

    kahan us farebi ki baaton mein aae

    wo jo kah raha hai wo karne ka na hai

    tihattar girohon mein jab banT gae hum

    to shiraaza apna bikharne ka na hai

    abhi to shuruat hai aashiqi ki

    abhi bhut sar se utarne ka na hai

    teri miThi baaton mein chipke to hai dil

    ye kya shart hai tu mukarne ka na hai

    judai ke sadme hain bas chaar din ke

    kisi ke liye koi marne ka na hai

    agar bhul sakta bhula deta ab tak

    teri yaad ka zaKHm bharne ka na hai

    tu jab itni unchi uDanen bharega

    to hasid tere par katarne ka na hai

    bala ka wo hushiyar samjhe hai KHud ko

    magar mere aage Thaharne ka na hai

    wo hai bewafa to koi us se kah de

    'faraaz' us ke sadme mein marne ka na hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now