mohabbat ka ye jazba marne ka na hai
mohabbat ka ye jazba marne ka na hai
Sulaiman Faraz Hasanpuri
MORE BYSulaiman Faraz Hasanpuri
mohabbat kā ye jazba marne kā nā hai
vo ab mere dil se utarne kā nā hai
kahāñ us farebī kī bātoñ meñ aa.e
vo jo kah rahā hai vo karne kā nā hai
abhī to shurūāt hai āshiqī kī
abhī bhuut sar se utarne kā nā hai
judā.ī ke sadme haiñ bas chaar din ke
kisī ke liye koī marne kā nā hai
to kar luuñ yaqīñ us ke ahd-e-vafā par
vo ye kah rahā hai mukarne kā nā hai
ye āñkheñ nahīñ us kī bahr-e-jafā haiñ
jo Dūbegā in meñ ubharne kā nā hai
agar bhuul saktā bhulā detā ab tak
tirī yaad kā zaḳhm bharne kā nā hai
tū jab itnī ūñchī uḌāneñ bharegā
to hāsid tire par katarne kā nā hai
tihattar girohoñ meñ jab baT ga.e ham
to shīrāza apnā bikharne kā nā hai
balā kā vo hushiyār samjhe hai ḳhud ko
magar mere aage Thaharne kā nā hai
vo hai bevafā to koī us se kah de
'farāz' us ke sadme meñ marne kā nā hai
mohabbat ka ye jazba marne ka na hai
wo ab mere dil se utarne ka na hai
kahan us farebi ki baaton mein aae
wo jo kah raha hai wo karne ka na hai
abhi to shuruat hai aashiqi ki
abhi bhut sar se utarne ka na hai
judai ke sadme hain bas chaar din ke
kisi ke liye koi marne ka na hai
to kar lun yaqin us ke ahd-e-wafa par
wo ye kah raha hai mukarne ka na hai
ye aankhen nahin us ki bahr-e-jafa hain
jo Dubega in mein ubharne ka na hai
agar bhul sakta bhula deta ab tak
teri yaad ka zaKHm bharne ka na hai
tu jab itni unchi uDanen bharega
to hasid tere par katarne ka na hai
tihattar girohon mein jab baT gae hum
to shiraaza apna bikharne ka na hai
bala ka wo hushiyar samjhe hai KHud ko
magar mere aage Thaharne ka na hai
wo hai bewafa to koi us se kah de
'faraaz' us ke sadme mein marne ka na hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.