mohabbat ka zamana yaad aaya
mohabbat kā zamānā yaad aayā
mujhe apnā fasānā yaad aayā
jabīñ kī shorisheñ allāhu-akbar
phir un kā āstāna yaad aayā
vo rūdād-e-alam phir yaad aa.ī
tirā aañsū bahānā yaad aayā
asīroñ ko qafas kī zindagī meñ
nasheman kā zamānā yaad aaya
lab-e-gul kā tabassum kuchh na pūchho
tumhārā muskurānā yaad aayā
vo aalam apnī az-ḳhud-raftagī kā
vo un kā paas aana yaad aayā
gile shikve kahāñ tak un se 'nudrat'
ye kab kā dostāna yaad aayā
mohabbat ka zamana yaad aaya
mujhe apna fasana yaad aaya
jabin ki shorishen allahu-akbar
phir un ka aastana yaad aaya
wo rudad-e-alam phir yaad aai
tera aansu bahana yaad aaya
asiron ko qafas ki zindagi mein
nasheman ka zamana yaad aaya
lab-e-gul ka tabassum kuchh na puchho
tumhaara muskurana yaad aaya
wo aalam apni az-KHud-raftagi ka
wo un ka pas aana yaad aaya
gile shikwe kahan tak un se 'nudrat'
ye kab ka dostana yaad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.