mohabbat karne wale gham ka afsana nahin kahte
mohabbat karne vaale ġham kā afsāna nahīñ kahte
ki dīvāne kabhī apne ko dīvāna nahīñ kahte
bharam meñ Daal rakkhā hai mujhe is kaj-adā.ī ne
kabhī bhī rū-ba-rū mujh ko vo begāna nahīñ kahte
yahāñ tak tum ne tanhā kar diyā ham ko zamāne se
ki apne ghar ko bhī ham apnā kāshāna nahīñ kahte
ḳhas-o-ḳhāshāk bhar lete haiñ ham armāñ ke dāman meñ
kabhī is dil ke māmūre ko vīrāna nahīñ kahte
bhalā sā tanz hai un kā hamārī jubba-sā.ī par
ise sar phoḌnā kahte haiñ nazrāna nahīñ kahte
ġham-e-dil merī āñkhoñ se Tapak jaate haiñ dhīre se
chhalak jaane kī koī baat paimāna nahīñ kahte
tumhāre naam par mausūm kar dete haiñ sab 'rāzī'
kabhī ham laġhzish-e-sāġhar ko mastāna nahīñ kahte
mohabbat karne wale gham ka afsana nahin kahte
ki diwane kabhi apne ko diwana nahin kahte
bharam mein Dal rakkha hai mujhe is kaj-adai ne
kabhi bhi ru-ba-ru mujh ko wo begana nahin kahte
yahan tak tum ne tanha kar diya hum ko zamane se
ki apne ghar ko bhi hum apna kashana nahin kahte
KHas-o-KHashak bhar lete hain hum arman ke daman mein
kabhi is dil ke mamure ko virana nahin kahte
bhala sa tanz hai un ka hamari jubba-sai par
ise sar phoDna kahte hain nazrana nahin kahte
gham-e-dil meri aankhon se Tapak jate hain dhire se
chhalak jaane ki koi baat paimana nahin kahte
tumhaare nam par mausum kar dete hain sab 'raazi'
kabhi hum laghzish-e-saghar ko mastana nahin kahte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.