mohabbat karne wale kab kisi ka nam lete hain
mohabbat karne vaale kab kisī kā naam lete haiñ
zabāñ ḳhāmosh rahtī hai nazar se kaam lete haiñ
vo kaise log haiñ yārab girāte haiñ jo insāñ ko
yaqīnan vo farishte haiñ jo baḌh kar thaam lete haiñ
ta.ajjub-ḳhez hai dastūr yārab terī duniyā kā
miTāte haiñ jo duniyā ko vahī in.aam lete haiñ
yahī apnī ibādat hai yahī hai bandagī apnī
tumhārā zikr karte haiñ tumhārā naam lete haiñ
jafā.eñ haiñ adāvat hai sitam hai bevafā.ī hai
ḳhushī se apne sar ham baḌh ke har ilzām lete haiñ
kahāñ kā nashsha mai kaisī na maiḳhāne na mai-noshī
tirī āñkhoñ ke paimānoñ se bhar kar jaam lete haiñ
tabāhī kā gila tum se nahīñ to phir karūñ kis se
mirī ulfat ke afsāne tumhārā naam lete haiñ
mohabbat karne wale kab kisi ka nam lete hain
zaban KHamosh rahti hai nazar se kaam lete hain
wo kaise log hain yarab giraate hain jo insan ko
yaqinan wo farishte hain jo baDh kar tham lete hain
tajjub-KHez hai dastur yarab teri duniya ka
miTate hain jo duniya ko wahi inam lete hain
yahi apni ibaadat hai yahi hai bandagi apni
tumhaara zikr karte hain tumhaara nam lete hain
jafaen hain adawat hai sitam hai bewafai hai
KHushi se apne sar hum baDh ke har ilzam lete hain
kahan ka nashsha mai kaisi na maiKHane na mai-noshi
teri aankhon ke paimanon se bhar kar jam lete hain
tabahi ka gila tum se nahin to phir karun kis se
meri ulfat ke afsane tumhaara nam lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.