mohabbat karne walon ka yahi anjam hota hai
mohabbat karne vāloñ kā yahī anjām hotā hai
taḌapnā un kī qismat meñ to sub.h-o-shām hotā hai
hamesha ke liye duniyā meñ do dil mil nahīñ sakte
nazar milnā judā.ī kā hī ik paiġhām hotā hai
na dil meñ chain hai ham ko na rātoñ ko qarār aa.e
batā de koī duniyā meñ kahāñ ārām hotā hai
mirī barbādiyāñ bhī dekh liiñ tum ne jahāñ vaalo
jo kartā hai mohabbat vo yuñhī nākām hotā hai
mohabbat karne walon ka yahi anjam hota hai
taDapna un ki qismat mein to subh-o-sham hota hai
hamesha ke liye duniya mein do dil mil nahin sakte
nazar milna judai ka hi ek paigham hota hai
na dil mein chain hai hum ko na raaton ko qarar aae
bata de koi duniya mein kahan aaram hota hai
meri barbaadiyan bhi dekh lin tum ne jahan walo
jo karta hai mohabbat wo yunhi nakaam hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.