mohabbat karne walon ka yahi nam-o-nishan hoga
mohabbat karne vāloñ kā yahī nām-o-nishāñ hogā
jahāñ vo sar-nigūñ hoñge vahīñ pe āstāñ hogā
mohabbat meñ agar zāhir mirā rāz-e-nihāñ hogā
mere pīchhe yaqīnan un kā koī rāzdāñ hogā
zamīñ bhī badlī hogī aur badlā āsmāñ hogā
na gard-e-kārvāñ hogī na shor-kārvāñ hogā
har ik mahshar meñ hogā apne hī a.amāl kā hāmil
zamīñ vāloñ kī nazroñ meñ ajab ye ik samāñ hogā
mohabbat meñ hamesha raaz tasht-az-bām hī hogā
kabhī jāsūs yaañ hogā kabhī jāsūs vaañ hogā
agar guzregī merī zindagī shahr-e-madīna meñ
ibādat ke liye ai 'shād' un kā āstāñ hogā
mohabbat karne walon ka yahi nam-o-nishan hoga
jahan wo sar-nigun honge wahin pe aastan hoga
mohabbat mein agar zahir mera raaz-e-nihan hoga
mere pichhe yaqinan un ka koi raazdan hoga
zamin bhi badli hogi aur badla aasman hoga
na gard-e-karwan hogi na shor-karwan hoga
har ek mahshar mein hoga apne hi aamal ka hamil
zamin walon ki nazron mein ajab ye ek saman hoga
mohabbat mein hamesha raaz tasht-az-baam hi hoga
kabhi jasus yan hoga kabhi jasus wan hoga
agar guzregi meri zindagi shahr-e-madina mein
ibaadat ke liye ai 'shad' un ka aastan hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.