mohabbat karne walon ki inayat bhi zaruri hai
mohabbat karne vāloñ kī ināyat bhī zarūrī hai
jo hai sachchī mohabbat to sadāqat bhī zarūrī hai
musalmāñ ho ki hindū ho yahūdī ho ki īsā.ī
ḳhudā ke ek ik bande pe taa.at bhī zarūrī hai
gunah koī agar ho jaa.e tum se jaane anjāne
bahānā ashk tum behad nadāmat bhī zarūrī hai
ḳhudā kā vāsta zālim ko de kar pahle samjhāo
jo na maane kisī se to adāvat bhī zarūrī hai
zamāne bhar ke shoboñ meñ sabaq īmān kā denā
agar hai surḳh-rū honā sadāqat bhī zarūrī hai
nikal aao ġham-e-zabt-e-alam se aaj phir 'yāsīn'
mazālim Dhāne vāloñ se baġhāvat bhī zarūrī hai
mohabbat karne walon ki inayat bhi zaruri hai
jo hai sachchi mohabbat to sadaqat bhi zaruri hai
musalman ho ki hindu ho yahudi ho ki isai
KHuda ke ek ek bande pe taat bhi zaruri hai
gunah koi agar ho jae tum se jaane anjaane
bahana ashk tum behad nadamat bhi zaruri hai
KHuda ka wasta zalim ko de kar pahle samjhao
jo na mane kisi se to adawat bhi zaruri hai
zamane bhar ke shobon mein sabaq iman ka dena
agar hai surKH-ru hona sadaqat bhi zaruri hai
nikal aao gham-e-zabt-e-alam se aaj phir 'yasin'
mazalim Dhane walon se baghawat bhi zaruri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.