mohabbat ke hawale DhunDhta hai
mohabbat ke havāle DhūñDhtā hai
añdheroñ meñ ujāle DhūñDhtā hai
ḳhudā jaane vo kaisā bāvlā hai
haram meñ mai pyāle DhūñDhtā hai
musāfir do-qadam chal kar pareshān
ki apne pā ke chhāle DhūñDhtā hai
samundar meñ talāsheñ to bahut haiñ
ḳhazāne vo nirāle DhūñDhtā hai
rahe tā-būd qaa.em rāzdārī
ḳhudā kuchh aise taale DhūñDhtā hai
mohabbat ke hawale DhunDhta hai
andheron mein ujale DhunDhta hai
KHuda jaane wo kaisa bawla hai
haram mein mai pyale DhunDhta hai
musafir do-qadam chal kar pareshan
ki apne pa ke chhaale DhunDhta hai
samundar mein talashen to bahut hain
KHazane wo nirale DhunDhta hai
rahe ta-bud qaem raazdari
KHuda kuchh aise tale DhunDhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.