mohabbat ke liye is bar hogi
mohabbat ke liye is baar hogī
mujhe merī razā darkār hogī
bahāroñ ne bhī ye sochā nahīñ thā
ḳhizāñ kī is qadar raftār hogī
usī ke aasre rahnā paḌegā
ki jis ke haath meñ patvār hogī
savere muskurā kar baat kar lo
vagarna din Dhale takrār hogī
tumhārā kuchh na bigḌegā jafā se
hamārī zindagī mismār hogī
mohabbat ke liye is bar hogi
mujhe meri raza darkar hogi
bahaaron ne bhi ye socha nahin tha
KHizan ki is qadar raftar hogi
usi ke aasre rahna paDega
ki jis ke hath mein patwar hogi
sawere muskura kar baat kar lo
wagarna din Dhale takrar hogi
tumhaara kuchh na bigDega jafa se
hamari zindagi mismar hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.