mohabbat ke nashe mein chur hain hum
mohabbat ke nashe meñ chuur haiñ ham
har ik ġham kī pahuñch se duur haiñ ham
ka.ī āñkheñ hameñ pahchāntī haiñ
hasīnoñ meñ bahut mash.hūr haiñ ham
bas ab jaise haiñ tere sāmne haiñ
batā ab kyā tujhe manzūr haiñ ham
vafā īmān-dārī be-niyāzī
purāne vaqt kā dastūr haiñ ham
vo is darja hasīñ hai kyā batā.eñ
mohabbat ke liye majbūr haiñ ham
abhī to pyaar se dekhā hai us ne
abhī dillī se kaafī duur haiñ ham
mohabbat ke nashe mein chur hain hum
har ek gham ki pahunch se dur hain hum
kai aankhen hamein pahchanti hain
hasinon mein bahut mashhur hain hum
bas ab jaise hain tere samne hain
bata ab kya tujhe manzur hain hum
wafa iman-dari be-niyazi
purane waqt ka dastur hain hum
wo is darja hasin hai kya bataen
mohabbat ke liye majbur hain hum
abhi to pyar se dekha hai us ne
abhi dilli se kafi dur hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.