mohabbat ke sabhi jazbe tumhaare nam karti hun
mohabbat ke sabhī jazbe tumhāre naam kartī huuñ
vafā ke dil-nashīñ qisse tumhāre naam kartī huuñ
banāyā hai jinheñ maiñ ne mohabbat ke gulāboñ se
tar-o-tāza vo gul-daste tumhāre naam kartī huuñ
nahīñ kuchh aur paane kī tamannā ab mire dil meñ
jo dekhe aaj tak sapne tumhāre naam kartī huuñ
tumheñ jī meñ basāyā hai tumheñ apnā banāyā hai
maiñ apnī zaat ke hisse tumhāre naam kartī huuñ
unheñ merī mohabbat kī nishānī tum samajh lenā
likhe haiñ maiñ ne jo naġhme tumhāre naam kartī huuñ
kahā gul ne aqīdat se vatan kī chuum kar miTTī
maiñ apne chāñd se beTe tumhāre naam kartī huuñ
mohabbat ke sabhi jazbe tumhaare nam karti hun
wafa ke dil-nashin qisse tumhaare nam karti hun
banaya hai jinhen main ne mohabbat ke gulabon se
tar-o-taza wo gul-daste tumhaare nam karti hun
nahin kuchh aur pane ki tamanna ab mere dil mein
jo dekhe aaj tak sapne tumhaare nam karti hun
tumhein ji mein basaya hai tumhein apna banaya hai
main apni zat ke hisse tumhaare nam karti hun
unhen meri mohabbat ki nishani tum samajh lena
likhe hain main ne jo naghme tumhaare nam karti hun
kaha gul ne aqidat se watan ki chum kar miTTi
main apne chand se beTe tumhaare nam karti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.