mohabbat ke safar ki dastan hai
mohabbat ke safar kī dāstāñ hai
tū merī jaan hai merā jahāñ hai
sajī hoñToñ pe hai muskān lekin
merā ġham merī āñkhoñ meñ nihāñ hai
satātā hai tujhe jo hijr kā ġham
vo merī zindagī meñ bhī ravāñ hai
safar meñ saath mere tum ho jānāñ
mire qadmoñ ke nīche āsmāñ hai
laboñ se kuchh nahīñ kahtā kabhī vo
nigāhoñ se magar sab kuchh ayaañ hai
mohabbat ke safar ki dastan hai
tu meri jaan hai mera jahan hai
saji honTon pe hai muskan lekin
mera gham meri aankhon mein nihan hai
satata hai tujhe jo hijr ka gham
wo meri zindagi mein bhi rawan hai
safar mein sath mere tum ho jaanan
mere qadmon ke niche aasman hai
labon se kuchh nahin kahta kabhi wo
nigahon se magar sab kuchh ayan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.