mohabbat ke sahaare mar gae kya
mohabbat ke sahāre mar ga.e kyā
shab-e-furqat ke maare mar ga.e kyā
bhañvar se jo nikal aa.e the bach kar
vo dariyā ke kināre mar ga.e kyā
nazar aatī hai in meñ kyoñ udāsī
in āñkhoñ ke sitāre mar ga.e kyā
nahīñ hotī hai dil meñ koī halchal
sabhī armāñ hamāre mar ga.e kyā
ḳhizāñ kyoñ 'sād' dil par hai musallat
nazar ke sab nazāre mar ga.e kyā
mohabbat ke sahaare mar gae kya
shab-e-furqat ke mare mar gae kya
bhanwar se jo nikal aae the bach kar
wo dariya ke kinare mar gae kya
nazar aati hai in mein kyon udasi
in aankhon ke sitare mar gae kya
nahin hoti hai dil mein koi halchal
sabhi arman hamare mar gae kya
KHizan kyon 'sad' dil par hai musallat
nazar ke sab nazare mar gae kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.