mohabbat ke taqaddus ki tijarat par utar aae
mohabbat ke taqaddus kī tijārat par utar aa.e
mohazzab log bhī kaisī himāqat par utar aa.e
samundar to dikhātā hī rahā dariyā-dilī apnī
magar qatre samundar se baġhāvat par utar aa.e
adālat se vahāñ insāf kī ummīd kaise ho
jahāñ munsif hī mujrim kī himāyat par utar aa.e
javāñ beTī ko le kar ab kahāñ jā.egī vo beva
yahāñ to log rishtoñ kī tijārat par utar aa.e
hamāre aapsī jhagḌoñ ko dekhā to paḌosī bhī
hamārā ghar jalāne kī sharārat par utar aa.e
vatan ke chhūT jaane kā unheñ bhī ġham to kuchh hogā
zarā sī baat par jo log hijrat par utar aa.e
tarāne desh-bhagtī ke jo gaate the vahī 'sāġhar'
gire itne ki sarhad kī tijārat par utar aa.e
mohabbat ke taqaddus ki tijarat par utar aae
mohazzab log bhi kaisi himaqat par utar aae
samundar to dikhata hi raha dariya-dili apni
magar qatre samundar se baghawat par utar aae
adalat se wahan insaf ki ummid kaise ho
jahan munsif hi mujrim ki himayat par utar aae
jawan beTi ko le kar ab kahan jaegi wo bewa
yahan to log rishton ki tijarat par utar aae
hamare aapsi jhagDon ko dekha to paDosi bhi
hamara ghar jalane ki shararat par utar aae
watan ke chhuT jaane ka unhen bhi gham to kuchh hoga
zara si baat par jo log hijrat par utar aae
tarane desh-bhagti ke jo gate the wahi 'saghar'
gire itne ki sarhad ki tijarat par utar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.