mohabbat KHatm hai lekin abhi rishta nahin TuTa
mohabbat ḳhatm hai lekin abhī rishta nahīñ TuuTā
ki jitnā TūTnā thā dil abhī utnā nahīñ TuuTā
hamārī ruuh ko mehmān ban ke khā ga.ī dīmak
hameñ hairāngī hai phir bhī ye Dhāñcha nahīñ TuuTā
khilaunā thā magar tum ne mujhe dil se lagāyā thā
tumhārī is muravvat se mirā kyā kyā nahīñ TuuTā
tumhārī be-ruḳhī se yuuñ to har-dam choT lagtī hai
hamāre dil kā lekin aaj tak shīsha nahīñ TuuTā
ibādat aaj jaisī phir kabhī ab ho na pā.egī
girā jo 'shād' sajde meñ to phir sajda nahīñ TuuTā
mohabbat KHatm hai lekin abhi rishta nahin TuTa
ki jitna TuTna tha dil abhi utna nahin TuTa
hamari ruh ko mehman ban ke kha gai dimak
hamein hairangi hai phir bhi ye Dhancha nahin TuTa
khilauna tha magar tum ne mujhe dil se lagaya tha
tumhaari is murawwat se mera kya kya nahin TuTa
tumhaari be-ruKHi se yun to har-dam choT lagti hai
hamare dil ka lekin aaj tak shisha nahin TuTa
ibaadat aaj jaisi phir kabhi ab ho na paegi
gira jo 'shad' sajde mein to phir sajda nahin TuTa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.