mohabbat ki bulandi se kabhi utra nahin jata
mohabbat kī bulandī se kabhī utrā nahīñ jaatā
tirā dar chhoḌ ke mujh se kahīñ jaayā nahīñ jaatā
maiñ apnī dāstān-e-ġham sunā detā tujhe lekin
tirā utrā huā chehra mujhe dekhā nahīñ jaatā
buzurgoñ kī duā.eñ bhī safar meñ saath hotī haiñ
bigāḌegā koī kyā maiñ kahīñ tanhā nahīñ jaatā
ġharīboñ ko hiqārat kī nazar se dekhte haiñ jo
kabhī aise amīroñ ke yahāñ jaayā nahīñ jaatā
ġhamoñ kī dhuup meñ kuchh is tarah badlā mirā chehra
ki mere dostoñ se bhī ye pahchānā nahīñ jaatā
thakā huuñ rāh-e-manzil kā mujhe sonā zarūrī hai
magar kuchh baat hī aisī hai jo soyā nahīñ jaatā
yahī saudā-garān-fan se kahnā hai 'zafar' mujh ko
ġhazal ko chand sikkoñ ke evaz bechā nahīñ jaatā
mohabbat ki bulandi se kabhi utra nahin jata
tera dar chhoD ke mujh se kahin jaya nahin jata
main apni dastan-e-gham suna deta tujhe lekin
tera utra hua chehra mujhe dekha nahin jata
buzurgon ki duaen bhi safar mein sath hoti hain
bigaDega koi kya main kahin tanha nahin jata
gharibon ko hiqarat ki nazar se dekhte hain jo
kabhi aise amiron ke yahan jaya nahin jata
ghamon ki dhup mein kuchh is tarah badla mera chehra
ki mere doston se bhi ye pahchana nahin jata
thaka hun rah-e-manzil ka mujhe sona zaruri hai
magar kuchh baat hi aisi hai jo soya nahin jata
yahi sauda-garan-fan se kahna hai 'zafar' mujh ko
ghazal ko chand sikkon ke ewaz becha nahin jata
- Book : Rang-e-sabat (Pg. 107)
- Author : Zafar Ansari Zafar
- Publication : Maktaba Jamia, Jamia Nagar, New Delhi (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.