mohabbat ki gawahi apne hone ki KHabar le ja
mohabbat ki gawahi apne hone ki KHabar le ja
Ghulam Mohammad Qasir
MORE BYGhulam Mohammad Qasir
mohabbat kī gavāhī apne hone kī ḳhabar le jā
jidhar vo shaḳhs rahtā hai mujhe ai dil! udhar le jā
sajī hai bazm-e-shabnam to tabassum kaam aa.egā
ta.āruf phuul kā darpesh hai to chashm-e-tar le jā
añdhere meñ gayā vo raushnī meñ lauT aa.egā
diyā jo dil meñ jaltā hai usī ko baam par le jā
uḌānoñ āsmānoñ āshiyānoñ ke liye tā.ir!
ye par TuuTe hue mere ye meyār-e-nazar le jā
zamānoñ ko uḌāneñ barq ko raftār detā thā
magar mujh se kahā Thahre hue shām-o-sahar le jā
koī muñh pher letā hai to 'qāsir' ab shikāyat kyā
tujhe kis ne kahā thā aa.ine ko toḌ kar le jā
mohabbat ki gawahi apne hone ki KHabar le ja
jidhar wo shaKHs rahta hai mujhe ai dil! udhar le ja
saji hai bazm-e-shabnam to tabassum kaam aaega
taaruf phul ka darpesh hai to chashm-e-tar le ja
andhere mein gaya wo raushni mein lauT aaega
diya jo dil mein jalta hai usi ko baam par le ja
uDanon aasmanon aashiyanon ke liye tair!
ye par TuTe hue mere ye meyar-e-nazar le ja
zamanon ko uDanen barq ko raftar deta tha
magar mujh se kaha Thahre hue sham-o-sahar le ja
koi munh pher leta hai to 'qasir' ab shikayat kya
tujhe kis ne kaha tha aaine ko toD kar le ja
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 367)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : Ahmad Nadeem Qasmi (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.