Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat ki hawa-e-dil-ruba se jhuT bolegi

Basheer Dada

mohabbat ki hawa-e-dil-ruba se jhuT bolegi

Basheer Dada

MORE BYBasheer Dada

    mohabbat havā-e-dil-rubā se jhuuT bolegī

    hasīñ kāzib hai vo ahl-e-vafā se jhuuT bolegī

    vo ik ik jhuuT jhuTlāne ko sau sau jhuuT bolegī

    vo ḳhud se jhuuT bolegī ḳhudā se jhuuT bolegī

    mire ma.asūm sach ko kach.harī meñ khaḌā kar ke

    koī dekhe ki vo kis kis adā se jhuuT bolegī

    usī ke jhuuT se girdāb meñ us safīna hai

    magar ulTā vo apne nā-ḳhudā se jhuuT bolegī

    ye maanā sub.h-e-sādiq ko kare vo jhuuT se tauba

    usī pal vo magar bād-e-sabā se jhuuT bolegī

    ajab kyā jo use ho jaa.e umr-e-jāvedāñ hāsil

    jo vo shīrīñ-dahan apnī qazā se jhuuT bolegī

    mohabbat ki hawa-e-dil-ruba se jhuT bolegi

    hasin kazib hai wo ahl-e-wafa se jhuT bolegi

    wo ek ek jhuT jhuTlane ko sau sau jhuT bolegi

    wo KHud se jhuT bolegi KHuda se jhuT bolegi

    mere masum sach ko kachhari mein la khaDa kar ke

    koi dekhe ki wo kis kis ada se jhuT bolegi

    usi ke jhuT se girdab mein us ka safina hai

    magar ulTa wo apne na-KHuda se jhuT bolegi

    ye mana subh-e-sadiq ko kare wo jhuT se tauba

    usi pal wo magar baad-e-saba se jhuT bolegi

    ajab kya jo use ho jae umr-e-jawedan hasil

    jo wo shirin-dahan apni qaza se jhuT bolegi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now