mohabbat ki jahanbani ke din hain
mohabbat kī jahāñbānī ke din haiñ
zamīñ par ḳhuld-sāmānī ke din haiñ
ye hai daur-e-jalāl-e-ibn-e-ādam
na sultānī na ḳhāqānī ke din haiñ
jo haiñ apnī jagah ḳhurshīd-buniyād
ab un zarroñ kī tābānī ke din haiñ
irādoñ kī bulandī auj par hai
havādis kī pashemānī ke din haiñ
har ik zanjīr hai ab pā-shikasta
har ik zindāñ kī vīrānī ke din haiñ
qasīde bādshāhoñ ke hue ḳhatm
mohabbat kī ġhazal-ḳhvānī ke din haiñ
taqaddus ho farishtoñ ko mubārak
'ravish' ab ḳhalq-e-insānī ke din haiñ
mohabbat ki jahanbani ke din hain
zamin par KHuld-samani ke din hain
ye hai daur-e-jalal-e-ibn-e-adam
na sultani na KHaqani ke din hain
jo hain apni jagah KHurshid-buniyaad
ab un zarron ki tabani ke din hain
iradon ki bulandi auj par hai
hawadis ki pashemani ke din hain
har ek zanjir hai ab pa-shikasta
har ek zindan ki virani ke din hain
qaside baadshahon ke hue KHatm
mohabbat ki ghazal-KHwani ke din hain
taqaddus ho farishton ko mubarak
'rawish' ab KHalq-e-insani ke din hain
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 374)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.