mohabbat kī maiñ zindagī ban gayā huuñ
zahe be-ḳhudī be-ḳhudī ban gayā huuñ
mohabbat kā har rang dekhā hai maiñ ne
kabhī miT gayā huuñ kabhī ban gayā huuñ
'ajab haal meñ huuñ mirā pūchhnā kyā
tumhāre laboñ par hañsī ban gayā huuñ
mirā chāk-e-dāman na dekho na dekho
jo tum chāhte the vahī ban gayā huuñ
maiñ har saañs meñ zikr kartā huuñ terā
sarāpā maiñ ḳhud bandagī ban gayā huuñ
vo nazreñ milīñ vo koī muskurāyā
abhī miT gayā thā abhī ban gayā huuñ
mohabbat huuñ maiñ hai mujhī se ujālā
kisī ke liye raushnī ban gayā huuñ
miTāne chalā huuñ maiñ 'bahzād' diiñ bhī
mohabbat meñ aisā saḳhī ban gayā huuñ
mohabbat ki main zindagi ban gaya hun
zahe be-KHudi be-KHudi ban gaya hun
mohabbat ka har rang dekha hai main ne
kabhi miT gaya hun kabhi ban gaya hun
'ajab haal mein hun mera puchhna kya
tumhaare labon par hansi ban gaya hun
mera chaak-e-daman na dekho na dekho
jo tum chahte the wahi ban gaya hun
main har sans mein zikr karta hun tera
sarapa main KHud bandagi ban gaya hun
wo nazren milin wo koi muskuraya
abhi miT gaya tha abhi ban gaya hun
mohabbat hun main hai mujhi se ujala
kisi ke liye raushni ban gaya hun
miTane chala hun main 'bahzad' din bhi
mohabbat mein aisa saKHi ban gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.