mohabbat ki nishani ko kuchal kar
mohabbat kī nishānī ko kuchal kar
vo ḳhush haiñ ik kahānī ko kuchal kar
ye dahshat kī jo āñdhī chal rahī hai
rukegī zindagānī ko kuchal kar
kareñge shuddh gañgā ko lahū se
sabhī āñkhoñ ke paanī ko kuchal kar
bhalā kyā jhuuT qābiz ho sakegā
hamārī sach-bayānī ko kuchal kar
qalam kī dhaar painī ho rahī hai
tumhārī bad-gumānī ko kuchal kar
mohabbat ki nishani ko kuchal kar
wo KHush hain ek kahani ko kuchal kar
ye dahshat ki jo aandhi chal rahi hai
rukegi zindagani ko kuchal kar
karenge shuddh ganga ko lahu se
sabhi aankhon ke pani ko kuchal kar
bhala kya jhuT qabiz ho sakega
hamari sach-bayani ko kuchal kar
qalam ki dhaar paini ho rahi hai
tumhaari bad-gumani ko kuchal kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.