mohabbat ki sahba pilane chala hun
mohabbat kī sahbā pilāne chalā huuñ
zamāne ko insāñ banāne chalā huuñ
ḳhushī ahl-e-gulshan ko ye sun ke hogī
masarrat ke naġhme sunāne chalā huuñ
charāġh-e-ruḳh-e-mehr-o-anjum ko le kar
zamāne kī zulmat miTāne chalā huuñ
mirā hausla koī dekhe to aa kar
harīfoñ se nazreñ milāne chalā huuñ
tire dar pe zauq-e-jabīñ-sā.ī le kar
muqaddar ko phir āzmāne chalā huuñ
ilāhī ḳhizāñ kā badal jaa.e chehrā
chaman meñ shagūfe khilāne chalā huuñ
zamāna bhī ho muttafiq jis se 'qaisar'
mohabbat ke vo giit gaane chalā huuñ
mohabbat ki sahba pilane chala hun
zamane ko insan banane chala hun
KHushi ahl-e-gulshan ko ye sun ke hogi
masarrat ke naghme sunane chala hun
charagh-e-ruKH-e-mehr-o-anjum ko le kar
zamane ki zulmat miTane chala hun
mera hausla koi dekhe to aa kar
harifon se nazren milane chala hun
tere dar pe zauq-e-jabin-sai le kar
muqaddar ko phir aazmane chala hun
ilahi KHizan ka badal jae chehra
chaman mein shagufe khilane chala hun
zamana bhi ho muttafiq jis se 'qaisar'
mohabbat ke wo git gane chala hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.