mohabbat ki saza pai bahut hai
mohabbat kī sazā paa.ī bahut hai
hamāre ġham meñ gīrā.ī bahut hai
khaḌā mele meñ aksar sochtā huuñ
mire andar to tanhā.ī bahut hai
nahīñ hai aur koī sirf maiñ huuñ
falak se ye sadā aa.ī bahut hai
kamā leñ shohrateñ sastī sī ham bhī
magar is meñ to rusvā.ī bahut hai
tasavvur shart sab kuchh sāmne hai
nazar vāloñ ko bīnā.ī bahut hai
'adīl' us ko kahāñ tum bhuul paa.e
qasam go tum ne ye khaa.ī bahut hai
mohabbat ki saza pai bahut hai
hamare gham mein girai bahut hai
khaDa mele mein aksar sochta hun
mere andar to tanhai bahut hai
nahin hai aur koi sirf main hun
falak se ye sada aai bahut hai
kama len shohraten sasti si hum bhi
magar is mein to ruswai bahut hai
tasawwur shart sab kuchh samne hai
nazar walon ko binai bahut hai
'adil' us ko kahan tum bhul pae
qasam go tum ne ye khai bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.